Thursday , November 21 2024
The Definition of MR Type|ERP Training In Hindi & Urdu

The Definition of MR Type|ERP Training In Hindi & Urdu

The Definition of MR Type Aaj hum sikheng ki MR type kya hota hai aur isme kya kya ata hai, Mujhe jaha tak ummid hai ye bahut kam logo ko pata hoga.

Mera maksad hai unlog ko madad karna jiko is field me knowledge nahi isliye meri aap se anurodh hai ki jihne kuch nahi pata hai unhe sikhene de aur achche feedback de.

ye post banane me kafi mehnat hui hai isliye aplogo ka pyar chahiye aap post pe comment kare apni raye de koi improvement karna ho to wo bhi bataye mai wo sudhar karne ki puri kosis karung.

The Definition of MR Type?

Dosto aaj ke daur me bina kaam kiye experience nahi hota isliye aapko baithe baithe ghar pe experience de raha hu, mujhe is field me achchi knowledge hai isliye aap sabhi ke sath shar kar rahe hai.

Pahle baat karte hai MR ki fir eMR ki karenge. MR ka matlab Materials Request hota hai. jise excel ke me banaya jata hai. ye material request bana kar warehouse ya store ki site pe bheja jata hai jiske madhyam se materials withdrawal kiya jata hai.

Material WD ke madhyam se kiya jata hai lekin warehouse ya store ki apni ek excel format hoti hai jiske madhyam se ye materials transfer kiya jata hai jise hum MIV kehte hai.

What is the MIV?

MIV – ka meaning ya matlab Materials Issuance Voucher hota hai jiske bare me youtube channel pe maine aap sabko bataya hai.

What is the eMR?

eMR – ka meaning ya matlab – Electronic Materials Request hota hai jise ERP system ke madhyam se banaya jata hai.

The Definition of MR Type & Process

Ek eMR ki jarurat tab padti hai jab Company ke Site ya kahe to Project pe materials ki jarurat hoti hai aur wo materials warehouse ya store me available nahi hota hai to ise ERP system ke madhyam se request kiya jata hai.

eMR bhi jo hai Main Warehouse se approved ho kar MCS departmen me jata hai, chaliye iske bare me bhi kuch jan lete hai.

eMR sabse pahle Project se banta hai jise document controller banata hai, Document Controller Project Manager ke under me kaam karta hai jise project ke sare eMR ki responsibility hoti hai.

eMR banane ke bad wo ERP system me submit kar deta hai jiske bad Project Manager ERP pe approved karta hai uske bad Warehouse se approval lena padta hai,

The Definition of MR type

ager materials available hota hai to warehouse se bhi issued yani transferred kiya jata hai warna ise not available ( N/A ) karke approved kar diya jata hai,

Warehouse se approved hone ke bad ye eMR MCS Department ke pas chala jata hai unke pas assign ho jata hai jisk PR MCS Department se banta hai.

MCS Department se PR banne ke bad is PR ka Management se Approval lena padta hai jo ki ERP ke madhyam se hi hota hai, uske bad price control ke pas chala jata hai, waha se approved hone ke bad purchaser ke pas jata hai, purchaser ke pas jane se pahle iska Po-Purchase Order banta hai.

How to make purchase order and what is the IT Supply Items?

The Definition of MR type

Purchase Order – Account Department se banta hai, Purchase Order banne ke bad ye supplier ke pas jata hai or supplier se purchaser coordinate karke ye materials site ke store ya company ke main warehouse me delivered hota hai.

Delivered hone ke bad ye warehouse department se iska Arrival or MRV banta hai uske bad ye materials warehouse stock ho jata hai.

Stock karne ke bad ye materials jab site ko jarurat hoti hai to use withdrawal or delivery note ke madhyam se delivered kar diya jata hai.

For more tips & tricks in Hindi click – Free Online👈🏻

Leave a Reply

DMCA.com Protection Status