Thursday , April 25 2024
Store keeper course online

Store keeper course online – (No.1) Storekeeper training courses cheap

Store Keeper Course Online aap bhi dhundh rahe jiske liye sirf ek yahi website hai jo aap ko puri course free me kara rahi hai, yaha is website se aap bilkul free me storekeeper ban sakte hai aur aap ko kisi course karne ki jarurat nahi padegi, ager aap karna bhi chahte hai to sirf wo course kijiyega jo isse sambandhit hai,

Mai suru se hi aaplogo ko bata raha hu ki kisi bhi institute ke chakkar me na pade ha ager aapko computer me bilkul knowledge nahi hai to aap koi bhi Diploma Course kar sakte hai chahe wo 6 month ka ho ya 1 years ka, ager Issued bhi jyada din ka karna chahe to kar sakte hai lekin ek storekeeper ke kaam sikhna jaruri hai.

Aap chahe to BCA, B.Sc kar sakte hai wo bhi Computer me, nahi to apko ise bhi karne ki jarurat nahi, Is samay ek 12th Passed Student ko bhi ye job asani se mil ja raha hai uske liye aap ko sabse pahle apne pe viswas hona chahiye.

Example ke liye ager aap ye post asani se padh sakte hai to mai 100% nahi 110% keh raha hu ek aap achcha storekeeper ban sakte hai aur main aapko banaunga lekin uske liye aapko sabse pahle aapko ek youtube channel subscribe karana hai jiska naam ( Smart Storekeeper ) jiski bahut si video is post ke madhyam se link kiya hua hai,

Storekeeper Full Course In Hindi

Is post me bhi apko us channel ki video ki link di jayegi us video ke madhyam se aap channel subscribe karke sabse pahle us channel ki kam se kam 20 video aap dekhe jo ki materials se related hai kyunki aap yakinan computer course me achche honge lekin materials ki knowledge nahi hai to aap bilkul samajh nahi payenge ki ye kya hota hai. sath hi sath aapk interview me materials ka naam nahi bata payenge.

Next Step me aapko us channel pe kuch materials se related format ki video upload hai ki – storekeepr materials kaise transfer karta hai, Materials Issuance Voucher kaise banta hai, Daily Issuance Kya hai, Daily Issuance format, Daily Issuance Report, Daily Issuance Report kaise banta hai, MR Kya hai, Materials Reques Kaise Banta hai, Erp Software kya hai, Erp Software ka naam, Erp Software Training.

Aise bahut video upload hai jo aap asani se sirf apna time de kar 1 week ke ander kafi experience le sakte hai, uske bad aapko kisi bhi company me kis bhi field me stoekeeper ka job apply kijiye aur bina kisi tension ke Interview dene jaiye.

Ager aap video dekh kar waha se experience lekar Interview dene jayenge to pakka mai wada kar raha hu aap bahut se questions ka answer de denge aur aap bilkul select ho jayenge.

Storekeeper Important Tips For Interview

Most Important for Storekeeper – Ager aapko Interviewer kisi aur type ka questions puch raha hai jo ki aapko pata nahi hai to aap bilkul ghabraye nahi, sabse pahle mai bata du aapko ek storekeper ka kaam same hota hai chahel, Hotel ho, Oil and Gas ho, Construction ho ya Hospital ho kisi bhi field me ho kaam same hota hai,

Sirf Materials different hote hai Isliye aapko bhi Infomation Channel se mile use sab aap Interviewer ko bataye uske puche bina sab bolte jaye use bataye convince kare believe dilaye ki aap bahut jald sikh sakte hai kyunki apne is field me kaam kiya hai yani ki apko infomation mil gyi chahe wo channel se kyu na wo interviewer ko kya pata.

Isliye Interview dene se bilkul na ghabraye Interview dene jaye usse apko kafi experience milega aur apka hasla bhi badhega, Interview me koi dikkat aaye to aap hame comment box me bateye uspe bhi hum aplogo ko guide karenge.

Aur bhi bahut se aise post apko is website pe milega aap use bhi padhe usse apko kafi benefit hoga jo ki aapko kisi book me ya kisi course ya class me nahi milega, aap sirf is website aur diye huwe YouTube Channel ke madhyam se aap asani se Store Keepr Ka Course kar lenge aur sari jankari mil jayegi jitni ek fresher Store Keeper ko chahiye .

Ager aapke pas iski certificate nahi hai aur apne man bana liya hai ki mujhe iski certificate chahiye to aap bilkul ghar baithe pas sakte hai uske liye aapko diye hua link website pe jana hai waha se aap is course ko purchase kar lijiye, course complete hone ke bad exam dena hoga wo bhi online hi hoga, website pe aapko puri jankari mil jayegi ki kitne hrs ka exam hai aur kaise certificate milega.

Ummid karta hu ye post aaplogo ko pasnad aayegi. Thank you dears.

Store keeper course online

Leave a Reply

DMCA.com Protection Status