Wednesday , December 4 2024
How to receive material in store in Hindi

How to receive material in store in Hindi

Aaj sabse important topic pe janne wale “How to receive material in store in hindi” Aaj hum batayenge ki ek storekeeper or materials handler ko materials receive karte samay kin baaton pe dhyan rakhna chahiye sath hi sath materials item code or description kaise pata kare.

How to receive material in store best tips

Sabse jaruri materials received karte samay kya padta hai ye jante hai jaise ki niche diya hau hai ye sab top hum cover karne wale hai jo ki behad janna jaruri hai.

  • Purchase order
  • Summary of deliveries
  • Delivery note
  • Summary of delivery invoiced
  • Summary of delivery open order
  • Purchase order confirmation

Supp

[Toc]
How to receive material in store in Hindi

How to receive material in store in Hindi

Materials receive karte samay sabse jaruri kya hota hai ye sawal sayad kam logo ko pata hoga ki materials receive karte samay hume sabse pahle apne company ka P.O aur Summary Jaruri hota hai.

Purchase Order (P.O) Kya Hai?

Purchase Order (P.O) Kya Hai?

Sabse pahle jan lete hai ki PO yani Purchase Order Kya hai aur Purchase Order se materials kaise received kiya jata hai.

Aap Storekeeper ho ya koi bhi materials receive karne ke liye PO yani Purchase Order ki jarurat sabko padti hai aur purchase order ke bina materials receive nahi hota hai, ager aap ne kar bhi liya to isse apko kafi dikkat asakti hai.

Kyunki materials receive karte samay pata hona chahiye ki jo hum materials receive kar rahe hai wo hamare company se kitna request kiya gya hai sath hi sath ye kis Project or Site ke liye hai,

Purchase Order se materials check karne ke benefits?

Ager aap Purchase Order se materials received karte hai ya aap Purchase Order yani PO jante hai to isse apko bahut faida hota hai jaise ki ye materials kitna request kiya gya hai, Purchase Order se Project ka name bhi pata chalta hai sath hi sath Project Code aur sabse jaurui uski unit price ki information mil jata hai,

Deliver note aur Purchase Order me difference kya hai?

Ye bahut hi simple question hai jise apko janna bahut hi jaruri hai, Delivery Note hume apne Company se nahi balki Supplier se milta hai, jise hume dekh kar materials received karke supplier ko apne signature aur company ke stam ke sath wapas dena padta hai.

Jabki Purchase Order Hume apne company se milta hai ya hume khud comapny ke Erp System se print karna padta hai, jise dekh kar hum material ki milan yani match karte hai ki supplier ka delivery note ka description aur materials ki description hamare Purcahse Order se match kar raha hai ki nahi uske bad hi hum materials receive karte hai.

Summary of deliveries kya hai?

Purchase Order ke sath aapko Summary bhi dekhni padti hai jo ki company ke Erp System pe ye bhi available hota hai jaise hamare liye purchase order jaruri hai waise hi hume Purchase Order Summary bhi jaruri hai materials receive karte hai samay.

Materials receive karte samay summary of deliveries kyu jaruri hota hai?

Materials receive karte samay purchase order isliye jaruri hota hai kyun ki ho sakta hai ki ye materials company ke site pe ya kisi aur store me receive hua ho isliye hume confirm karne ke liye aur on hand balance check karne ke liye iski jarurat padti hai.

Summary ke bina hum ye pata nahi kar sakte ki ye materials kitna received hua hai aur kitna balance hai ya ye pahle se received ho chuka hai ki nahi.

Summary ke madad se hume pata chalta hai ki ye materials ka invoiced hua hai ki nahi aur hua hai to kisne aur kaha kiya hai iski jankari hume yani milti hai.

Summary of deliveries me Invoiced ka kya matlab hota hai?

Summary of deliveries me invoiced ka sabse jyada importance hota hai, ager aap material handler hai ya storekeeper hai to apko materials received karte samaye summary check karni chahiye taki pata chale iska invoiced hua hai ki nahi yani ye materials company me received hua hai ki nahi.

Summary of deliveries me Invoiced ka matlab hota hai ki ye materials received ho chuka hai aur aap ise dubara received nahi kar sakte hai,

Summary of deliveries me open order ka kya matlab hota hai?

Summary of deliveries me open order ka matlab hota hai ki ye materials abhi tak received nahi hua hai aur aap ise received kar sakte hai, wahi ager apko invoiced dikhta to iska matlab hai ye materials received ho chuka hai aur aapko ise received nahi karna chahiy

Summary of deliveries me open order ka kya matlab hota hai?

How to receive material in store in Hindi Topic me humlogo ne bahut kuch kabhar kiya hai jise janna aap sabko jaruri tha isliye maine ye post aap sabhi ke liye likha hai.

How to receive material in store in Hindi me maine videos bhi upload ki hai taki aap sabko example ke sath bhi samjha sake, video me maine live apko purchase order or deliver notes ke madhyam se bataya hai ki how to receive material in store step by step samjhaya hai jise aap ko dekhna chahiye.

Purchase order confirmation kya hai?

Purchase order confirmation ye sare process me ajata hai, yani supplier se materials received karte samay ya company me kisi materials ko request samay jis process se gujarna padta hai purchase order confirmation kaha jata hai jise aam bhasa me purchase order bhi kehta hai. Purchase order ka dusra naam hi Purchase order confirmation hai jise hum Erp System se print karte hai aur age ki perkirya karte hai.

Post achcha lage ko aap comment jarur kare aur kuch add karna ho to hume likh sakte hai jise apko apke intervie me help karega.

Ummid karta hu ye post apko pasand ayegi thanks for subscribe and connect with us.

Also Read:

Leave a Reply

DMCA.com Protection Status